Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho,
Ho sakta hai ki woh kisi aur ke naam me Gumnaam ho,
Ya woh bhi kisi ke Pyaar me hua Nakaam ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho
Woh to shayad kuch Ankaha Paigaam ho,
Ho sakta hai woh ek Ansuna Farmaan ho,
Ya woh bhi kisi ke dil ka daba hua Armaan ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho
Woh to shayad uska bhi hua kuch aisa Anjaam ho,
Ho sakta hai na pa paya apna Makaam ho,
Ya woh bhi kisi premi ka Aadhpiya jaam ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho
Woh to shayad duniya se Anjaan ho,
Ho sakta hai uski duniya hi Veraan ho,
Ya woh bhi kisi ke pyaar me hua Sunsaan ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho!!
-rusty
No comments:
Post a Comment