Thursday, July 2, 2009

Hum bhi kam nahi!!!

Har haste mushkurate chehre ke peeche,
Utni hi khushi chuppi ho,
Yeh jaruri to nahi,
Shayad Mushkurana uski majboori hi sahi

Logo se has kar milna,
Yaaro me hasna aur hasana,
Aur fir akele me,
Apne aanshuyo ko chupana

Duniya ke liye ek khushnuma chehra,
Jiske peeche shayad koi raaz gehra,
Dil ke dard par,
Laga ho koi kada pehra

Logo ko kahna- tum to sada hasate ho,
Doosre ke gum bhulate ho,
Kaise hamesha mushkurate ho,
Kaise hamesha khush nazar aate ho

Hai hamara jawab- Jinki aankhein aanshuyo se nam nahi,
Kya samjhate ho, unhe koi gum nahi,
Tum tadapkar ro diye, to kya,
Gum chupakar hasne wale hum bhi kam nahi!!!

Saturday, June 27, 2009

Aanshuyo ko panah nahi milti!!

Yeh Ishq ki duniya bhi gajab hai,
Pyar karne walo ki baat bhi ajab hai,
Jeete hai yeh, mar jane ko,
Aur mar bhi jaate hai, yeh jeene ko

Kuch Ishq yuh ki unko alfaazo ki jarurat nahi padti,
Kuch ishq yuh ki unko bayaan karne ki ghadi nahi milti,
Kuch ishq yuh ki unko dilruba ki raza nahi milti,
Aur Kuch ishq yuh ki unko is duniya ki rehmat nahi milti

Hamare Ishq ko unki raza nahi milti,
Kah bhi de fir bhi, dard-e-dil ki dawa nahi milti,
Is bewafai bhari duniya me, wafa bhi nahi milti,
Woh dil tod kar haste hai, fir bhi unko saza nahi milti

Lakh koshish kar ke bhi hamari unse nazare nahi milti,
Har ishq ko yahan apni manjil nahi milti,
Kabhi Majnoo ko Laila, to kabhi Farhad ko Sheeri nahi milti,
Yahan to apni hi aankho me, aanshuyo ko panah nahi milti!!

Nasha

Nasha nashe me hai,
Aur nashe me hai hum,
Isi nashe ki khatir,
Yeh nasha na ho kabhi kam

Kisi ko daulat ka nasha,
Kisi ko mohabbat ka nasha,
Kisi ko unke deedar ja nasha,
Aur kisi ko hai unki aankho ka nasha

Koi nashe me doob jata hai,
To kisi ko doobne ka nasha chaa jata hai,
Kabhi sharab me, kabhi shabab me,
Kabhi ikraar me, kabhi intezaar me,
Kabhi kisi ke pyaar me

Is nashe ka jo nasha hai,
Humne jisko chakha hai,
Yaaro, baat meri maano,
Isi me jeevan ka maja hai!!