Saturday, June 28, 2008

Gazal

Shayar ke dabe jazbaat khud me ek Gazal hai,
Kisi ki chah me ek aah bhi Gazal hai,
Kisi ke intezaar me har ek nigaah bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to pyaas bhi ek Gazal hai

Aashiq ki tadap khud me ek Gazal hai,
Premi ki virah-vedna bhi Gazal hai,
Mohabbat me toota dil bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to dastaan bhi ek Gazal hai

Chaand ki sheetal chandni khud me ek Gazal hai,
Savaan ki pahli barsaat bhi Gazal hai,
Sardi ki bheegi-bheegi raat bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to har tanha raat bhi ek Gazal hai

Jaane-Jigar ki muskurahat khud me ek Gazal hai,
Uski to ikraar ki aada bhi Gazal hai,
Uski to inkaar ki aada bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to har pukaar bhi ek Gazal hai

Aalfaazo me chupa dard khud me ek Gazal hai,
Sher ki har siski bhi Gazal hai,
Nazm ka har ask (aanshu) bhi Gazal hai,
Aur teri meri to maut bhi ek Gazal hai!!
-rusty

Madhushala

Madiralaya ko hum nahi jaate,
Madira ko hum nahi chalkate,
Madiralaya khud hume bulaye,
Madira khud humko chalkaye

Peene ke hum na hai aadi,
Par aankho jab pilaye saaki,
Phir kaun bacha hai baaki,
Khud me ek nasha hai saaki

Yauvan to ek ravani hai,
Jeevan ki bhi ek kahani hai,
Apni to har shaam mastani hai,
Isko jo may me dubani hai

Gam ke sagar se gahara hai Pyaala,
Khushiya ho to uthao Haala,
Sukh-Dukh to sab chand-bhangur hai,
Jeevan to hai bas 'Madhushala'!!
-rusty

Khwasish

Gar har Khwasish poori hoti,
To Zindagi kitni khobsurat hoti,
Gam ka kahin naam na hota,
Khushiyo ki kabhi shaam na hoti

Khwasish hoti hume Chaand ki,
Aur usse ghar lakar taang dete hum,
Khwasish hoti hume Aasmaan ki,
Aur pairo tale usse raund dete hum

Khwasish hoti hume Khushboo ki,
Aur Phoolo ko masal dete hum,
Khwasish hoti hume udane ki,
Aur Panchiyo ke par kaat dete hum

Khwasish hoti hume har khushi ki,
Aur, aur bhi jyada rote hum,
Khwasish hoti hume doosre ki Khwasish na poore hone ki,
To khud ki Khwasish kaise poori hoti

Isliye Gar har Khwasish poori hoti,
To Zindagi kitni aadhuri hoti,
Khushiyo ka kahin naam na hota,
Aur gam ki kabhi shaam na hoti!!

-rusty

Humara Kya Hai Hum To Hai Hi Kavi

Jo na Piye Woh Kya Jaane

Maykade me bahut hai,
May (sharaab) ke kadradaan,
Jo na piye woh kya jaane,
Kya khoob hai iski Shaan

Jo na piye woh yeh kahe,
Hai yeh buri cheez,
Bin piye woh kya jaane,
Kya khoob hai yeh cheez

'Bacchan ji' kah gaye,
Sharaab nahi yeh Haala hai,
Jaam nahi yeh to prem ka pyaala hai,
Isliye humne bhi Haala se Prem kar daala hai!!
-rusty

Naam

Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho,
Ho sakta hai ki woh kisi aur ke naam me Gumnaam ho,
Ya woh bhi kisi ke Pyaar me hua Nakaam ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho

Woh to shayad kuch Ankaha Paigaam ho,
Ho sakta hai woh ek Ansuna Farmaan ho,
Ya woh bhi kisi ke dil ka daba hua Armaan ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho

Woh to shayad uska bhi hua kuch aisa Anjaam ho,
Ho sakta hai na pa paya apna Makaam ho,
Ya woh bhi kisi premi ka Aadhpiya jaam ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho

Woh to shayad duniya se Anjaan ho,
Ho sakta hai uski duniya hi Veraan ho,
Ya woh bhi kisi ke pyaar me hua Sunsaan ho,
Yeh to jaruri nahi ki, har kavi ka kuch naam ho!!
-rusty

Ishq ki Hasrat

Hum ko to Ishq ki Hasarat ne mita diya,
Unki thi Ulfat, Humko jala diya,
Hum ko to Ishq ki Hasarat ne mita diya,
Unka tha kahar, jo hum par dhaha diya

Jeete the unhi ko dekh kar,
Jinhe dekh kar nikalta tha dum,
Aa jati thi bahar aane se unke,
Na rahe the Zindagi me koi gam

Log kahte hai tum to Begaane ho gaye ho,
Hum bhi to unko apne Afsaano ne doondhte hai,
Log kahte hai tum to Dewaane ho gaye ho,
Hum bhi to unke liye Kaanto ko Chumte hai

Jate-Jate bas ek baar Muskura diya hota,
Thi gar koi Majboori to ek baar samjha to diya hota,
Ab Maut bhi aa jaye to koi gam na hoga,
Bas woh do Aanshu baha jaaye to Dard kam hoga!!
--rusty

Tuesday, May 6, 2008

Woh hamare ho na sake!!

Socha tha kabhi unse kahenge mann ki,

Sunayenge kabhi baatein apne dil ki,

Sochte they woh khud padh lenge jaabaan aankho ki,

Magar woh dil ki hamare sun na sake


Hum unki muskurahat ko hi mohabbat samjh liye,

Unki khushi se hi hum bhi khush ho liye,

Chup rah gaye kuch armaan apne dil me liye,

Aur aanshu bhi hamare aankho se bah na sake


Katate the raatein unke baare me soch kar,

Labo par aa jati thi muskurahat, unke ek khayaal par,

Aaj ankho hai nam, ussi ek sawal par,

Magar hume sawalo k hamare jawab mil na sake..


Sochte the unko kabhi apna banayege,

Unke saath ek choti si duniya sajayenge,

Ek din woh bhi hoga jab woh hum par rijhayenge,

Aur ab yeh aalam hai ki woh hamare ho na sake!!

-rusty