Shayar ke dabe jazbaat khud me ek Gazal hai,
Kisi ki chah me ek aah bhi Gazal hai,
Kisi ke intezaar me har ek nigaah bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to pyaas bhi ek Gazal hai
Aashiq ki tadap khud me ek Gazal hai,
Premi ki virah-vedna bhi Gazal hai,
Mohabbat me toota dil bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to dastaan bhi ek Gazal hai
Chaand ki sheetal chandni khud me ek Gazal hai,
Savaan ki pahli barsaat bhi Gazal hai,
Sardi ki bheegi-bheegi raat bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to har tanha raat bhi ek Gazal hai
Jaane-Jigar ki muskurahat khud me ek Gazal hai,
Uski to ikraar ki aada bhi Gazal hai,
Uski to inkaar ki aada bhi Gazal hai,
Teri aur Meri to har pukaar bhi ek Gazal hai
Aalfaazo me chupa dard khud me ek Gazal hai,
Sher ki har siski bhi Gazal hai,
Nazm ka har ask (aanshu) bhi Gazal hai,
Aur teri meri to maut bhi ek Gazal hai!!
-rusty
1 comment:
Nice One dude...Keep writing!!..But something is there which induces this poet inside you and draws such beautiful lines from you ;) ... I wonder!!
Post a Comment