Saturday, June 27, 2009

Aanshuyo ko panah nahi milti!!

Yeh Ishq ki duniya bhi gajab hai,
Pyar karne walo ki baat bhi ajab hai,
Jeete hai yeh, mar jane ko,
Aur mar bhi jaate hai, yeh jeene ko

Kuch Ishq yuh ki unko alfaazo ki jarurat nahi padti,
Kuch ishq yuh ki unko bayaan karne ki ghadi nahi milti,
Kuch ishq yuh ki unko dilruba ki raza nahi milti,
Aur Kuch ishq yuh ki unko is duniya ki rehmat nahi milti

Hamare Ishq ko unki raza nahi milti,
Kah bhi de fir bhi, dard-e-dil ki dawa nahi milti,
Is bewafai bhari duniya me, wafa bhi nahi milti,
Woh dil tod kar haste hai, fir bhi unko saza nahi milti

Lakh koshish kar ke bhi hamari unse nazare nahi milti,
Har ishq ko yahan apni manjil nahi milti,
Kabhi Majnoo ko Laila, to kabhi Farhad ko Sheeri nahi milti,
Yahan to apni hi aankho me, aanshuyo ko panah nahi milti!!

No comments: